Paseene mein lipti umeedein
A Nazm by Faridoon Shahryar
Ye sadak nahin
ek aag ka dariya hai
Anjaam tai hai
Phir bhi ye deewane log
Nikal pade hain
Chhote bachchon
Ko dhoop ke havaale kar
Bhook se dosti
Dil ko dilaasa
Aur ek aakhri khwahish..
Ghar ki chaukath
Gaanv ki mitti
Saanson ki goonj
Zindagi se kahin door
Sunai de rahi
Paseene mein lipti umeedein
Mohtaaj hain
Dua maango
Is safar ki manzil
Paas aa jaye