Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, November 6, 2024

Anjaan Saathi

Anjaan saathi
A Nazm by Faridoon 

Haq jataane ka hunar
Numaya kuch yun kiya hai 
Jaise dhokha diya jaata hai
Aur vo bhi lafzon mein
Bayan kar ke,
Hamara haath thaama bhi 
Bus dikhaave ke liye tum ne,
Bund kamron mein
Bus anjaan saathi
Sannaton ke beech
Tanhai se rubaroo hain.

Tuesday, November 5, 2024

Haadson ka samandar

itna aasaan nahin hai dil dukhaana mera ae dost
Haadson ke samandar mein tairna aata hai hamein

#FaridoonShahryar

Sunday, November 3, 2024

Khauff se jung

Khauff se ab mujhe darr nahin lagta 
Meri zindagi ka ye daur sirf mere naam hai

#FaridoonShahryar

Sunday, October 27, 2024

Koi hota

Koi hota
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khoobsurti ki inteha 
Nahin thi 
Mere aas paas 
Har manzar nayaab
Har mod par khwaab
Sab kuch tha 
Jo zehen ki ghiza 
Bun sakta ho
Bus koi hota
Jo mere wajood 
Par naaz karta
Koi hota jo 
Sirf mere liye hota
Tanhai ne muskura kar
Kuch yun dekha mujhe
Aur phir har simt
Andhera.

Thursday, October 24, 2024

Koi kahin ho

Koi kahin ho
A Nazm by Faridoon Shahryar

Koi kahin ho
Jo hamein
Sunna chaahe,
Ahsaas ke aangan mein
Kuch waqt guzaare,
Koi kahin ho
Jo bewaja
Hamein chaahe,
Tanha khwaab
Inhimaak se sambhaale hue
Main jaane kahan 
Chala ja raha hoon. 
Bus chala ja raha hoon.

Sunday, October 20, 2024

Naye khwaab ki parvaaz

Naye khwaab ki parvaaz ne, neend se kuch duur kiya hai 

Jo dikh raha hai in ankhon ko, behad haseen hai vo

#FaridoonShahryar

Thursday, October 10, 2024

Beraham hoon main

Meri mohabbat ke laayaq nahin tum

Beraham hoon main, jaan lo ye jaaneman

#FaridoonShahryar