Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, April 24, 2021

Besukooni ke saaye

Sitam kya khoob in havaon ne dhaaye hain
Had-e-nigaah tak besukooni ke saaye hain

#FaridoonShahryar

Nafrat mujhe raas na aayi

Nafrat mujhe raas na aai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo tum chaahte thhe
Bilkul vaise hi hua
Main apne saaye se
Besakhta juda hua
Aks meri mohabbat ka
Peeche chhod aaya hoon
Maaf karna 
Nafrat mujhe raas na aai

Gul-e-tehzeeb

Gul-e-tehzeeb ki khushbu sab ko mayassar ho
Is chaman-e-hasrat ko chalo sanvaara jaaye

#FaridoonShahryar

Hairatzada himaqat

Nasamajh kahoon ya ahmaq tumhe 
Hairatzada himaqat sadme mein hai

#FaridoonShahryar

Muradon ka janaaza

Ek majma sa laga hai iradon ka
Janaza uthne ko hai muradon ka

#FaridoonShahryar

Zavaal

Ye to bus jhaanki hai
Zavaal abhi baakhi hai

#FaridoonShahryar

Chup chaap

Chup chaap
Nazm by Faridoon Shahryar

Khanjar se na poocho
Marham kaun lagayega
Ankhon ka pyala
Khaali ho jayega 
Afsos na karna 
Unhe phir bhi
Taras na aayega 
Bus yuhin 
Cheentiyon ki tarah
Line bana kar
Chalte rahna
Chup chaap
Chup chaap
Chup chaap.