Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, June 26, 2024

Pasand

Gar tumhari pahli pasand bun nahin sakta main
Jaan lo phir jaaneman, mujhe tum pasand nahin 

#FaridoonShahryar

Tuesday, June 25, 2024

Afsos

Afsos 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Duur kahin koi hai shayad
Jo mujhe sochta hoga
Faasle pasand nahin mujhe 
Afsos, main duur ja kar hi
Tumhare qareeb aata hoon

Monday, June 24, 2024

Khushboo si bikhar jaaye

Khushboo si bikhar jaaye
A Nazm by Faridoon Shahryar

Zyada kahan maanga tha
Bus itna hi chaaha tha
Muskuraoon jab bhi main
Khushboo si bikhar jaaye
Labon par tumhaare 
Aur sanvaroon main 
Har vo khwaab 
Jo tumne abhi
Dekha bhi nahin.

Friday, June 21, 2024

Main roya bhi hoon

Haan shukr ada kiya hai, main achcha aadmi hoon 
Lekin jab dard hadd se badha hai, main roya bhi hoon

#FaridoonShahryar

Wednesday, June 19, 2024

Sahi Kya Hai

Sahi Kya Hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Hava ke rukh 
Ne muskura kar kaha 
Sahi kya hai
Nahin hai ye pata,
Ghalat ko lekin 
Maine mooh chhupaye
Dekha hai

Monday, June 17, 2024

Aham Faisla

Aaj phir ek baar rishton ne mujhe aazmaya hai
Maine soch samajh kar tanhai ko apnaya hai

#FaridoonShahryar

Friday, June 7, 2024

Aankhen

Aankhen 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Raat ke saath 
Dard ka saaya
Kuch yun 
Chhaya sa 
Rahta hai 
Jaise sar mein
Fikr rengti ho
Aur aankhen 
Hamesha ke liye
Khulne vaali hon.

Wednesday, June 5, 2024

Saakit lamha

Ye saakit lamha bus mera apna sa hai
Andheron ne dekha hai mujhe muskuraate hue

#FaridoonShahryar

Monday, June 3, 2024

Tasleem

Mere faisle par savaal uthaane waale dost 
Aaj rashk se meri doorandeshi ko tasleem karte hain

#FaridoonShahryar