Faridoon Shahryar
Faridoon Shahryar's Blog
Saturday, July 17, 2021
Zom hai zahanat ka
Zom hai zahanat ka, fikr hai zamaane ki
Hijaab zulmaton par hai, zikr hai karnamon ka
#FaridoonShahryar
Ae hamnafas
Ae humnafas, wafa ki intiha maangtey ho
Mujh hi se mere hone ki wajah maangte ho
Saanson ka, dil ke dhadakne ka, sabab kya hai
Ahl-e-mohabbat ka tum hisaab maangte ho
#FaridoonShahryar
Mohtaaj nahin
Meri pehchaan kisi aur ki mohtaaj nahin
Manzilen mil hi jaati hain aksar deewanon ko
#FaridoonShahryar
Chalo Saham Jaayen
Bahut shor hai, aandhiyon ka daur hai
Chalo khamoshi ikhtiyaar kar sahem jaayen hum
#FaridoonShahryar
Tahaffuz
Unse tahaffuz ki tavaqqo hum kya karen
Jo apne ghar ko khud hi dhuaan kar baithe
#FaridoonShahryar
Ilm ka junoon
Unhe ilm hai ki tumhe ilm ka junoon hai
Tavajjo ki shabnam se is raat ko tarr kar do
#FaridoonShahryar
Wafaat ka intizaam
Meri wafaat ka intizaam hi tumhara junoon tha
Qismat to dekho, tum yahan bhi nakamayab nikle
#FaridoonShahryar
Achche na bano
Zyada achche na bano is jahannum mein
Jeete jee marne ka ranj to bahut hoga
#FaridoonShahryar
Maazi ka samandar
Meri shanakht
Meri shanakht kya hai, ye tum kya jaano
Is safar mein tanz rahbar rahe hain aksar
#FaridoonShahryar
Saturday, July 10, 2021
Mohabbat kya hai
Dars dete hain hamein wafaadari par
Jinhe ye pata nahin, mohabbat kya hai
#FaridoonShahryar
‹
›
Home
View web version