Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, June 13, 2015

Sukoon bechain jab se hua hai

Sukoon bechain jab se hua hai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Sukoon bechain jab se hua hai...Waqt ki dor bandh si gayi Hai/Aankhon mein neend ke siva na jaane kya kya manzar khaid hain...sukoon bechain jab se hua hai...

Dil machalta hai dhadakne ke liye, khwaab aahaten dastak dene se ghabraati hain, saanson mein siskiyon ki goonj larazti Hai...sukoon bechain jab se hua Hai

Dosti hisaab maangti hai guzre zamaane se, vo tafree ki daulat shaayad kaafi nahin thi, tijaarat rishton ki, daraaren paida karti Hai...sukoon bechain jab se hua Hai...

Muskurahaton ka sauda mehenga pada hamen, neeyat apni hi kharaab thi, ghair ko ilzaam dena vaajib nahin, Khayalon mein afra tafri ka ye silsila...sukoon bechain jab se hua Hai...

Sab kuch vaisa hi ho jaisa hum chaahen, ye to mumkin nahin...ek khaas pehchaan ki jaddo-jahad maqsad hai mera...sukoon bechain jab se hua Hai..

1 comment: